Ab Ye Bata Jaye Kahan Song from ‘Baap Re Baap’ is a Hindi song sung by Asha Bhosle and music composed by O.P. Nayyar. Ab Ye Bata Jaye Kahan Lyrics are written by Jan Nisar Akhtar. Baap Re Baap is a 1955 Hindi film starring Kishore Kumar and Chand Osmani in lead roles.
Ab Ye Bata Jaye Kahan Song Details
Ab Yeh Bata Jayein Kahan | |
Baap Re Baap (1955) | |
Asha Bhosle | |
Jan Nisar Akhtar | |
O. P. Nayyar | |
Shemaroo Filmi Ganne |
Ab Yeh Bata Jayein Kahan Lyrics
Ab yeh bata jayein kahan
Kismat ke thukraye huye
Gham se ghabraye huye
Jeene se uktaye huye
Ab yeh bata jayein kahan
Raasta anjaan manzil ka
Pata kuchh bhi nahi
Apni raahon mein andhere ke
Siwa kuchh bhi nahi
Gham ke hain ghanghor baadal
Door tak chhaye huye
Ab yeh bata jayein kahan
Ab yeh bata jayein kahan
Apne armaano ka lut’ta
Kaarwan dekha kiye
Aashiyan jalta raha
Hum bezubaan dekha kiye
Chand aansu reh gaye
Palkon pe tharraye huye
Ab yeh bata jayein kahan
Yeh bata jayein kahan
Ab yeh bata jayein kahan
Kya yehi duniya hai
Aye duniya ke rakhwale bata
Kya yehi insaaf hai
Aye aasmaan wale bata
Jee rahe hain saikdon
Jeene se sharmaye huye
Ab yeh bata jayein kahan
Yeh bata jayein kahan
Ab yeh bata jayein kahan
Ab yeh bata jayein kahan
Kismat ke thukraye huye
Gham se ghabraye huye
Jeene se uktaye huye
Ab yeh bata jayein kahan
Ab Yeh Bata Jayein Kahan Lyrics in Hindi
अब यह बता जाएं कहाँ
किस्मत के ठुकराए हुए
ग़म से घबराए हुए
जीने से उकताए हुए
अब यह बता जाएं कहाँ
रास्ता अनजान मंज़िल का
पता कुछ भी नहीं
अपनी राहों में अंधेरे के
सिवा कुछ भी नहीं
ग़म के हैं घनघोर बादल
दूर तक छाए हुए
अब यह बता जाएं कहाँ
अब यह बता जाएं कहाँ
अपने अरमानों का लुटा
कारवाँ देखा किये
आशियां जलता रहा
हम बेज़ुबां देखा किये
चाँद आंसू रह गए
पलकों पे थर्राए हुए
अब यह बता जाएं कहाँ
यह बता जाएं कहाँ
अब यह बता जाएं कहाँ
क्या यही दुनिया है
ऐ दुनिया के रखवाले बता
क्या यही इंसाफ़ है
ऐ आसमान वाले बता
जी रहे हैं सैकड़ों
जीने से शरमाए हुए
अब यह बता जाएं कहाँ
यह बता जाएं कहाँ
अब यह बता जाएं कहाँ
अब यह बता जाएं कहाँ
किस्मत के ठुकराए हुए
ग़म से घबराए हुए
जीने से उकताए हुए
अब यह बता जाएं कहाँ